Ye Madhdham Chandni Aaj Hamein Chubhti Hai Kyon
Udaas Chaand Bebas Nazronse Hamein Takta Hai Kyon
Ek Waqt Tha Dekha Karte The Is Chand Ko Saath Saath
Aaj Kyon Tanhaiyon Ke Andheron Mein Kho Gaye Hai Kyon
Jaise Chaand Ke Sang Chaandni Waise Tum The Mere Saath
Chaand Mera Gam Ke Badalon Mein Chhup Gaya Hai Kyon
Gawah The Ye Chaand Ye Chaandni Ye Sitare Hamari Chahat Ke
Na Jaane Ab Hamein Ye Pehchanne Se Inkaar Karte Hai Kyon
Na Khata Teri Thi Na Kasoor Mera Koi Na Hi Chahat Kam Thi
Phir Ye Haathon Ki Lakeerein Apna Rasta Badalti Hai Kyon
Sochte Hai Shikayat Karein Hum Khuda Se Takdeer Ka Gila Karein
Par Na Jaane Aaj Sajde Mein Jaane Se Nazrein Jhijhakti Hai Kyon
Teri Baahon Mein Guzrte The Saal Ek Pal Ki Manind
Zindagi Aaj Hamein Itni Thami Hui Si Lagti Hai Kyon
Hai Rooh Ki Gehraiyon Mein Samundar Na Jaane Kitne Behte Hue
Aankhon Ke Kone Se Alvida Kehne Ko Inkaar Karti Hai Ye Boond Kyon