Ye Likhi Hai Baat Kis Kitaab Main
Aapko Rehna Hai Bas Naqaab Main
Hosh Main Bas Wo Ke Jis Ko Tu Mila
Sab Bhatakte Hain Yahan Sharaab Main
Soch Ko Milta Nahi Kabhi Sukoon
Hain Kai Sawaal Har Jawaab Main
Kar Diya Kanton Ne Jab Lahoo Se Laal
Husn Aur Badh Gaya Gulaab Main
So Sake Phir Ham Kabhii Na Umr Bhar
Kar Gaye Vaada-E-Vasl Khaab Main
(Idea For The Above Sher Is Taken From Ghalib’s Sher
Taafir Na Intizaar Main Neend Aaye Umr Bhar
Aane Ka Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khaab Main’)
Yaad Apna Ishq Rakhe Ye Jahan
Doob Jaate Hain Chalo Chanaab Main
Ho Hi Jaata Hai Yahan Deedar-E-Yaar
Bas Yahi Hai Baat Achhi Khaab Main
Kashtiyan ‘Saahil’ Tujhe Hain Dhoondti
Aur Tu Dooba Hai Khud Sailaab Main
Saahil