Ye Lamhe Naakaafi Hain Doston
Bhari Si Ye Jindgi Bitaane Ko,
Ek Kaam Karo Milte Raho
Meri Ye Jindgi Sajaane Ko,
Tumhaare Saath Jo Bitaaya Wo Waqt
Theher Sa Gaya Hai Mere Khazaane Me,
Ek Kaam Karo Ise Or Bharo
Kaheen Ye Kharch Na Ho Jaaye Lutane Me,
Mere Dard Ko Tumhaare Khaandhe Se
Kuchh To Raah Jaroor Rehti Hai,
Jaane Kya Soch Kar Ye Sir Phir Bhi
Tumhaare Shaanon Per Rakh Nahi Pata,
Ho Sake To Mujhe Kuchh Sambhalo
Mere Chehre Se Haal-E-Dil Parh Daalo,
Mere Apne Se Nazar Aao Kabhi To Tum Bhi
Begaanon Me Khulkar Mai, Ro Nahi Paata,
Mai Raaton Ko Jaagta Hoon Aksar
Mai Khawabon Se Bhaagta Hoon Aksar,
Mere Aakaash Pe Chha Jaao Sitara Bankar
Mai Aasmaan Me Ek Apna Sa Sitara Nahi Paata,
Mere Jo Apne Hain Wo Pyar Bas Jatate Hain
Mera Ik Kaam Karo Tum Khud Ko Mere Naam Karo,
Tum Mujhe Itna Do Ke-Â…aas Na Rah Jaaye Koi
Mai Apne Mooh Se Kuchh Maang Bhi Nahi Paata,
Meri Ye Muflisi Kadmon Ko Rok Deti Hai
Meri Naakaamiyan Bhi Mujhko Tok Deti Hai,
Gar Aa Sako To -‘tum-‘ Mujhsi Hi Nazar Aane Lago
Mai Apne Aapko Tumsa Utha Nahi Paata.