Ye Kyaa Hain Mohbbat Mein To Aisa Nahi Hota
Main Tujse Juda Ho Ke Bhii Tanha Nahi Hota..
Is Mod Se Aage Bhii Koi Mod Hain Varna
U Mere Liye Tu Kabhi Thahra Nahi Hota..
Kyun Mera Mukkadar Hai Uzalo Kii Siyahi
Kyun Rat Ke Dhlne Pe Savera Nahi Hota…
Ya Itni Naa Tabdil Hui Hoti Ye Duniya
Ya Maine Ise Khwab Mein Dekha Nahi Hota..
Sunte Hai Sabhi Gour Se Aawaz-E-Jaras* Ko
Manzil Kii Taraf Koi Rawana Nahi Hota..
Dil Tarke-Talluk* Pe Bhi Aamda Nahi Hai..
Aur Haq Bhii Ada Isse Wafa Kaa Nahi Hota..!”
Aawaz-E-Jaras= Ghanti Kii Aawaz, Mazil Kii Pukar
Tarke-Talluk= Devource, Sambandh-Vichhed.