Ye Kaisi Zindagi Hain,Ruth Si Gayi Mujhse,Meri Zindagi Hai.
Dukhi Jeewan Kii Vyatha Yahi,Kya Kahun Jo Ab Tak Nahi Kahi.
Jis Par Kya Viswas,Usi Nei Vishwasghat Diya.
Jis Par Nyochawar Kiya Pyar,Usne Bar-Bar Aaghat Kiya.
Ab To Yahi Sochta Hoon Ki,Na Hum Unki Jindagi Me Aate,
Aur Na Hi Ho Pati Ye Sab Baten.
Kutton Se Bhi Badtar Aaj Insaan Ho Gaya Hain,
Pata Nahi Kahan Brahma Ki Kalpanao Ka Insaan Kho Gaya Hain.
Ye Duniya Hi Ban Chuki Ek Darinda Hain,
Jisme Insaniyat Naam Ka Kuch Nahi Jinda Hain.
Mera Dil Ab Tut Chuka Hain,
Iss Jeevan Sei Bilkul Ruth Chuka Hain.
Har Rishtey Nate Ab Mujhse Chut Chuke Hain,
Jo Kuch Bhi Tha Mere Paas,
Wo To Yei Duniya Wale Kab Kei Loot Chuke Hain.
Mujhe To Lagta Hai Kii,
Mujhse Ahcha To Wo Parinda Hain,
Jo Logon Ke Hathon Mara Jata Hain,
Kam-Se-Kam Iss Bedard Duniya Sei Mukti To Pata Hain.
Ab Jeevan Me Koi Ikcha Nahi,Kya Pata Kuch Dino Baad,
Meri Lash Pari Mile Yahin Kahin.
Ban Na Chahta Tha Main Unmukt Panchi,
Par Mil Gayi Mujhe Manusya Kii Yoni,Ban Naa Saka Main Ek Parinda,
Aur Yahin Par Ho Gayi Sabse Bari Anhoni,Kyonki Bachpan Se Hi,
Main Banta Chala Gaya Ek Darinda