Ye Kaisi Baichaini Hai, Ye Kaisi Udasi Hai
Jo Mere Charo Taraf Chaai Rehti Hai,
Ek Ajeeb Si Khamoshi Jo Chadte Aur Dhalte Suraj Ke Saath
Badti Jaati Hai Ek Sannata Jo Har Waqt Mere Saath Rehta Hai.
Par Kabhi-Kabhi Koi Siski Isey Cheerte Hue Mere Dil Mein
Sama Kar Mujhe Yaadon Ke Kuen Mein Dhakeil Jaati Hai.
Aur Fir Shuru Hota Hai Us Kuen Ki
Fislan Bhari Yaado Se Bahar Aane Ka Safar.
Par Main Thak Haar Kar Wahin Bna Leta Hun Apna Basera.
Aur Aankho Mein Aansu Bhar Kar Fir Sochta Hun.
Ye Kaisi Baichaini Hai Ye Kaisi Udasi Hai