Ye Gali Aur Ye Ghar Aaj Sooney Pade Hain
Kabhi Is Jagah Par Larajte The Do Dil
Kabhi Peepal Ke Paidon Par Koyal Ki Koon-Koon
Kabhi Garmiyon Mein Aam Ke Paidon Ki Khushboo
Mausam Badalte Kam Ye Rounak Na Hoti
They Jo Do Pal Bhi Milte, Kam Mohabbat Na Hoti
Kabhi Sar Jhukaate, Kabhi Rooth Jaate
Kabhi Der Tak Sirf Nazerein Milaate
Ek Dooje Ka Sang Tha Ye Kitna Suhaana
Fikra Duniya Ki Thi Na, Tha Aaisa Fasana
Raah Par Jo Guzarte , Kabhi Nazrein Milti
Dil Ka Soona Gharonda , Chahekne Tha Lagta
Silsila Milne -—bichadne Ka Chalta Raha
Saansein Thamti Rahi, Dil Machalta Raha
Saaz Chidte Jabhi , Aankhein Uth Ti Chamak
Dil Ke Milne Ke Pal Ko Tarasti Palak
Thi Ghadi Woh Judayee‚  Ki Ankhein Thi Nam
Pal They Jitney Mile, Woh Hamesha They Kam
Ek Udaasi Si Hai, Rooh Pyaasi Si Hai
Gaanv Se Chal Diye, Sab Ko Bas Chhal Diye
Shaakh Par‚  Ab To Patte Hain Lagte Nahi
Ab Chaman Mein To Phool Aur Khilte Nahi
Par Ye Dastoor Hai, Panchi Ud Jaate Hain
Dil Ke Zakhmon Se Kyun Aankh Bhar Aati Hain
Dil Samhaale Se Bhi Ab Samahalta Nahi
Roney Se Par Ye Jeewan To Chalta Nahi
Le Tu Thaam Ab Jigar, Housla Kam Na Kar
Galiyon Mein To Baharein Zaroor Aayengi
Pyaar Ki Roshni Se Ye Khil Jaayengi
Ek Mohabbat Hi Hai, Zindagi Aur Kya
Isko Tohfa Samajh, Rakh Gale Se Laga
Ab Na Aansoo Baha, Motiyon Se Saja
Khush Hi Rehne Se Usko Milegi Dua