Ye Duuriyaan Khaamoshiyaan Berukhi Madhoshiyaan
Ye Bhee Kuchh Andaaz Hain Merii Chaahat Ke
Thoda Dard Thodi Hairaani Thodi Tanhaai Or Meri Kahaani
Ye Bhee Kuchh Pehlu Hain Meri Muskurahat Ke
Kaun In Kitaabon Ko Padhker Kaabil Ho Jaayega
Kaun Apnii Manzil Per Jaaker Manzil Ho Jaayega
Halaat Ki Lehron Se Dat Kerr Ladna He Hai Zindgi
Kaun In Lehron Se Ladkar Saahil Ho Jaayega
Thoda Sa Jhuth Thoda Aadarsh Thoda Aasmaan Thoda Farsh
Ye Bhee Kuchh Pehlu Hain Insaan Ki Banaawat Ke
Thoda Dard Thodi Hairaani Thodi Tanhaai Or Meri Kahaani
Ye Bhee Kuchh Pehlu Hain Meri Muskurahat Ke
Itne Nazaaron Mein Bhee Ye Nazar Tanha
Insaan Ho Gyaa Hai Iss Kadar Tanha
Mitti Ke Chehre Bass Aks He Hain Yaaron
Tay Kerna Hai Sabko Ye Safar Tanha
Thodi Jannat, Thode Apne Thodi Si Maang Thode Sapne
Ye Bhee Kuch Pehlu Hain Khuda Ki Ibaadat Ke
Thoda Dard, Thodi Hairaani Thodi Tanhaai Or Meri Kahaani
Ye Bhee Kuch Pehlu Hain Meri Muskurahat Ke