Ye Aur Baat Terii Galii Mein Na Aayen Ham
Lekin Ye Kyaa Ki Shahar Teraa Chhod Jaayen Ham
Muddat Huii Hai Kuu-E-Butaan Kii Taraf Gaye
Aavaaragii Se Dil Ko Kahaan Tak Bachaayen Ham
[Muddat = Long Time; Kuu = Lane; Butaan = Beloved]
Shaayad Baqaid-E-Ziist Ye Saaat Na Aa Sake
Tum Daastaan-E-Shauq Suno Aur Sunaayen Ham
[Baqaid-E-Ziist = Within The Prison Of Life (While Alive)]
[Saaat = Moment; Daastaan = Story/tale]
Benuur Ho Chukii Hai Bahut Shahar Kii Fazaa
Taariik Raaston Men Kahiin Kho Na Jaayen Ham
[Benuur = Without Light; Taariik = Dark]
Us Ke Bagair Aaj Bahut Jii Udaas Hai
‘Jalib’ Chalo Kahiin Se Use Dhuundh Laayen Ham
[Bagair = Without]