Yah Mor Bhi Aye Ga, Kabhi Socha Bhi Nahi Tha
Hajoom-E-Dostan Main Ho Gee Tanhaee Kabhi Socha Bhi Nahi Tha
Kion Ho Gaye Pathar Say Yah Paaon Humaray
Hum Nay To Usay Mur Kar Daikha Bhee Nahi Tha
Kisi Kay Saath Chalnay Ki Umeed Bhi Kia Hoti
Humaray Saath To Apna Saya Bhi Nahi Tha
Dil Yah Nadan Kay Ab Tak Yaad Karay Hay Usay
Jis Nay Ik Baar Palat Kay Daikha Bhi Nahi Tha
Yah Kaisay Maan Lain Hum Ko Samajh Na Saka
Woh Shakhs Jo Iskadar Sada Bhi Nahi Tha
Is Taaluk Ko Nibhanay Main Gharz Apni Bhi Thee Shamil
Kay Tanha Rahnay Ka Hum Main Hosla Bhi Nahi Tha
Jab Yah Socha Kay Bhar Hee Jaye Ga Guzartay Wakt Kay Saath
Tab Zakhm Ki Gahraee Ka Andaaza Bhi Nahi Tha
Shikva Jisay Hamesha In Aansoon Say Raha
Aaj Yaad Aya To Aankh Main Aik Sitara Bhi Nahi Tha