Yah Daastaan- E-Ishq Hai Ya Dard-E-Dil Ki Bayaani Hai
Kis Se Kahoon Ye Haal-E-Dil Sab Kii To Uehi Kahaani Hai
Na Maange Davaa Na Duaa, Zakhmon Ki Apni Jubaani Hai
Chot Hamne Dil Pe Khaayen Hain Wohii Ulfat Ki Nisaani Hai

Manzil Meri Tu Ek Nahii, Manzil Aage To Aur Bhi Hai
Ruk Jaaye Wo Fana Hai, Chaltii Jaaye Wo Zindagaani Hai
(Fana: Mout)
Jab Jaati Hai Wo Baagon Me, Bhonwore Sang Sang Firte Hain
Honge Bahoot Dil-Fareb Par Kya Us Kii Koyi Saani Hai
Jaana Kahin Hai Door Par Kyun Dil Me Milne Ki Aas Hai
Hai Koun Jis Ke Dam Se Mere In Saanso Me Ravaani Hai
Chand Saanso Ka Ye Ren Basera Aao Mil Ke Do Pal Ji Len
Ranjish-O-Gham Ke Saaye Mai Mayank Kyun Zindgi Bitaani Hai