Yaaro Yaha Imaan Na Raha
Duniya Mein Koi Insaan Na Raha
Bhuke Hai Sab Paiso Ke,
Musibat Mein Madadgaar Na Raha
Zindagi Jeene Ka Tarikaa Na Raha
Maut Pe Kisiko Afsos Na Raha
Daudtey Logo K Beech,
Girte Ko Sambhalne Wala Na Raha
Dard Ko Baanth Ne Wala Na Raha
Pyar Bhari Baton Se Behlane Wale Na Raha
Do Kadam Bhi Chalkar,
Saath Nibhane Wala Na Raha
Bado Se Pesh Aane Ka Salika Na Raha
Apno K Beech Woh Apnapan Na Raha
Buzurgo Se Aashirwad
Paane Ka Kisiko Chah Na Raha
Nayee Raho Pe Chalne Ka Tazurba Na Raha
Kuch Kar Dikhane Ka Jasba Na Raha
In Uljhano Ko Dur
Karne Ka Koi Upaay Na Raha
Khilte Bagiche Ko Sichne Wala Na Raha
Khud Pe Kisika Aitbaar Na Raha
Dost Ko Gale Lagaane Ka Ab Bahana Na Raha
Tadapte Dilko Kisika Sahara Na Raha
Kaanto K Beech Khilta Wo Gul Na Raha
Is Ghutan Me Jeene K Siwa
Ab Aur Koi Chara Na Raha