Yaadon Ke Zeher Ko Ragon Mein Utar Jaane De,
Us Shakhs Ka Is Dil Se Kuch Asar Jaane De
Use Raqeebon Ki Baahon Mein Bikhar Jaane De,
Bewafaai Ki Saari Haddon Se Guzar Jaane De
Shab-E-Furqat Ki Ye Aakhiri Pahar Jaane De,
Eh Kazaa Uske Jaane Tak To Thahar Jaane De-Â…
Thoda Ro Lun Thaam Ke Daaman Bahaar Ka,
Kaliyon Ko V Zaraa Ashqon Se Tarr Jaane De-Â….
Uske Badan Ko V Jo Husool* Ho Meri Tadap Ka,
To Panghat# Pe Mere Ashqon Ki Lahar Jaane De-Â….
*Ehsaash. #Nadi Ka Kinara Jahaan Auraten Nahati Aur Paani Bharti Hain.
Ab Bas Aur Kab Tak Jiyegaa Kambakht Ghayal
Ho Gaya Hai Waqt Ab Khud Ko Marr Jaane De