Yaa Ba-Khuda Kya Kismet Humne Paayee
Fitrat-E-Aashnaayi, Ba-Dast-E-Tanhayee
Kyon Na Bhujaa Dein Ummidon Ke Aqiidon Ke Yeh Diye
Muntazir Rahe Ta-Umr Magar, Raushani Bhi Naa Aayee
Aatish Zabaani Ko Apni Poocho Na, Kya Kya Azaab Diye
Jab *Tarq Kee Mohabbat, Tau Yeh Zubaan Phir Kyon Paayee
Dast-E-Abalaa De Dard, Par Likh Likh Kamaal Kiye
Tilismayi Kalam Kare Duhayee, Jaana Tumko Samajh Na Aayee
Iss Betaab Dil Ko O Dilbar Kyon Sataaya Kiye
Dhadhkan Mein Kare Ubaal Yeh Dard-E-Shanassayee
Berukhi Unki, Zakhm-E-Dil Ko Hai Pur-Khaar Kiye
Phir Bhi Khabar Unki, Be-Qaraari Mein Qaraar Le Aayee