Woh Suhaani Shaam,
Aur Suraj Kii Woh Doobthi Kiran,
Mere Chehre Ko Phuslaathi Hui,
Door Ja Rahii Thii
Saagar Kii Woh Komal Lehren,
Mere Ungliyon Thale Khilwaad Karti Hui,
Mere Is Ghayal Dil Ko,
Thandak Pahuncha Rahii Thii…
Mai Tha Akela,Us Saagar Ke Kinaare Par,
Nazar Kii Duuri Tak Koi Dooja Naa Tha…
Phir Ekk Ehsaas Uta,
Kii Mere Haath Ko Kisi Ne Thama,
Uski Woh Pankudi Jaise Naram Ungliyan,
Mujhe Taph Tapha Rahi Thii….
Ekk Bharosa Tha Uske Us Chehre Par,
Pyaar Tha Uski Un Aankhon Mey,
Hoton Par The Kuch Unkahi Baatein,
Aur Dil Mey The Kuch Tez Dhadkan…
Mausam Suhaana Tha,
Shaam Mastani Thi,
Woh Mere Saath Thii,
Aur Main Uske Paas Tha…
Phir Huyi Kuch Pyaar Kii Baatein,
Phir Aaye Ekk Dooje Ke Baahon Main,
Lag Raha Tha Samay Tham Jaaye,
Ya Phir Iss Pal Mey Meri Jaan Chali Jaaye…
Woh Ehsaas Main Khona Nahi Chahta,
Ki Mere Zindaagi Mey Bhii Koi Hai,
Woh Pal Main Gawana Nahii Chahta,
Ki Mere Baahon Main Bhii Koi Hai…
Phir Achanak Aankhon Par Roshni Ghiri,
Aur Mere Meete Pal Ekk Kwaab Reh Gaye,
Main Samjha Ki Maine Sapna Dekha,
Aur Ab Main Hoon Sacchai Main…
Aaj Bhi Hoon Main Akela,
Chalta Hoon Khaali Haath,
Ruka Hoon Main Us Pal Ke Liye,
Jo Main Kabhi Naa Khona Chahta Tha…
Kya Aayega Woh Pal?
Kya Milega Mujhe Mera Sapna?
Ya Phir Sirf Bachengi Woh Yaadein,
Woh Sapna Aur Woh Chahat,
Chal Raha Hoon Main Yeh Sochthe,
Jaane Kis Dagar