Woh Saath Jis Ka Lams Hum Aaj Bhi Apne Wajood Main Mehsoos Karte Hain
Jin Ki Aawaaz Aaj Bhi Hamari Samaton Main Goonjti Hai
Hamari Nazrein Aaj Bhi Har Us Jaga Par Teharti Hai
Jahan Khabhi Hamare Walid Huwa Karte The
Gharz Aaj Bhi Hum Ko Apne Walid Ka Sirf Shaori Saath Muyassar Hai
Aisa Saath Jis Main Hum Apne Tamam Masaail Se Aa Ge
Dene Ke Baad Salah Bhi Lete Hain Aur Hamein Sahi Salah Milti Bhi Hai
Hamari Waalda Majda Ne Humare Liye Buhat Dukh Utaye Hain
Hamari Kamsini Main Un Ka Akela Reh Jana Kisi Qayamat Se Kamm Na Tha
Lakin Unhon Ne Walid Ke Waadon Ka Paas Rakha
Aur Hamein Har Woh Shaor Diya Jis Ke Bad
Hamein Ais Duniya Main Dhang Se Jeena Aa Giya
Walid Ya Walda Dono Hi Aham Juz Hain
Kisi Bhi Insaan Ki Zindagi Banane Main Aur Sanwarne Main
Maa Ki Dua Seedhi Arsh Par Jati Hai
Aur Lamhe Bhar Main Qaboolian Ki Sanad Pati Hai
Aisi Tarah Maa Ki Bad Dua Kabhi Bhi Arsh Par Poori Nahi Hoti
Aisi Liye Ke Maa Ki Bad Dua Kabhi Bhi Dil Se Nahi Nikalti
Haan Lakin Baap Ki Bad Dua Zaroor Poori Hoti Hai
Ke Woh Hamesha Dil Se Nikalti Hai
Us Waqt Jab Baap Ke Sabar Ka Paimaana Labraiz Ho Chuka Hota Hai
Walda Kisi Bhi Insaan Ki Poori Zindagi Ki Dhaal Hoti Hain
Jaie Se Hazrat Moosa (As) Ki Walda Ka Jab Wisaal Huwa Tu
Hazrat Wisaal Ke Bad Pehli Baar Koh-E-Toor Par
Allah Se Hamkalam Hone Gaye Tu Allah Ne Farmaya Ke Aye Moosa{As}
Ab Zara Sambhal Kar Yahan Aana Ke Ab Tumhare Liye Dua Karne Wali
Tumhari Walda Hayat Nahi Hain
Aur Us Si Tarah Se Sab Ko Yeh Kehte Hain
Ke Maa Baap Ka Ihteraam Us Si Tarah Farz-O-Laazim Hai
Jaie Se Baaqi Islam Ke Arkaan
Hamare Paas Tu Ain Gohar-E-Naayab Main Se Aik Gohar Kaam Hai
Hamein Andaza Hai Ke Humare Paas Kia Nahi Hai
Hum Ko Hamari Walda Ka Itna Saath Aur Dua Mili Hai
Ke Hum Allah Ke Jitne Bhi Shukar Guzaar Rahein Kam Hi Rahenge
Kyun Ke Hum Walda Ki Shafqat Ki Aik Nazar Ka Ehsaas
Apni Jaan De Kar Bhi Nahi Utar Sakte
Poori Zindagi Ke Amaal Ka Hisaab Utarna Tu Na-Mumkinaat Main Se Hai
Jin Ko Yeh Neamatein Allah Ki Taraf Se Haasil Hain
Un Se Guzarish Hai Ke Woh Ain Ki Qadar Karein
Sar Aankhon Par Bhitakar Rakhein Aur Khas Taur Par
Ke Apni Shadi Ke Bad
Waaldein Ke Buzurgi Ke Lamhaat Main Un Ka Bharpoor Saath Dijiye
Bilkul Aise Jaise Aap Apne Bache Ko Saath Dete Hain
Waaldein BanƒÂ£?ne Ke Baad Hamare Buzarg Waaldein
Aur Hamare Bache Aadat Aur Atwaar Main Aik Barabar Ho Jate Hain
Un Se Kia Huwa Pyaar Ya Shafqat Bhari Nigah Hamare Liye Baise Itminan
Allah Ki Khushnoodi Aur Bakhshish Ka Sabab Bansakta Hai
Apni Qadron Ki Qadar Kijiye Duniya Ka Har Rishta Mil Sakta Hai
Lakin Waaldein, Behen Bhai Nahi Mil Sakte
Apne Rishton Ko Apne Dil Main Parwan Chadhayi
Un Rishton Ko Pyaar Ke Dhaage Se Band Kar Apne Pan Ki Maala Main Piro Kar Rakhein
Allah Hum Sab Ke Khooni Rishton Ki Hifazat Farmaye Aameen Summa Aameen
Mera Paighaam Muhabbat Hai