Woh Raushni Kee Tarha Kahein Door Kaa Safar
Lamhoon Main Te Kare Gaa Kahan Us Ko Thi Khabar
Gumnaam Wadiyoon Ka Musafir Bana Hay Jo
Kab Jaan-‘tha Tha Uss Ki Bhi Manzil Hai Khakh Bhar
Woh Bay-Hisaab Khawahishain Dil Main Chupa Gaya
Woh Dil Jo Iztiraab Ka Bantha Rahaa Tha Ghar
Woh Jin Ki Zaath Kay Liye Ek Kaayanaath Tha
Woh Koh Gaya Tu Band Hain Uss Ghar Ke Baam-O-Dar
Veera.N Naheen Hai Baagh Magar Ik Kami Si Hai
Jab Se Kati Hai Shaakh Tu Khamosh Hai Shajar
Ut-Thi Hai Ik Khalish Si Kaheen Daik Le Doohaan(Smoke)
Bujhtha Hoowa Chiraagh Hai Dil Ka Koi Nagar