Woh Raat Aur Subah Ke Beech Ka Pahar
Aur Safar Se Utari Haseena Ke Thakaan Ki Kashish
Woh Bhikhare-Bikhare Un-Sanvare Laharaate Baal
Aur Badan Se Chipka Hua Mailaa Sa Dupatta
Woh Hathon Main Ulzi Huee Chaadar Ki Pareshani
Aur Kandhe Par Chadha Hua Samaan Ka Boz
Adha – Khuli Ankhon Se Bahar Jhaankati Who Adhuri Nind
Aur Kisi Toote Hue Subah Ke Haseen Sapne Ki Kasak
Jaise Abhi Safar Poora Na Hua
Aur Manjil Aa Gayee.