Woh Mujhse Pochtey Hain Ke Ranj, Ghum Aur Jalan-E-Dil Kiya Hai,
Ye Ghuman, Ye Soch, Aur Ye Dimagh Ka Khalal Kiya Hai,
Jab Ke Nahin Koi Bhi Ibadat Ke Layaq Siwaye (Allah) Ke,
To Phir Ye Bhoot Shikan, Ye Bhagwan Aur Ye Malyoon ‘Firoon’ Kiya Hai,
Janat Aur Dozakh Akhir Kis Asman Pe Mojood Hain,
Ye Chand Ke Chamakne Aur Suraj Ke Jalney Ki Waja Kiya Hai,
Jab Khuda Ne Nabi(S.A.W.W) Ko Bananey Ka Socha Bhi Na Tha To Os Waqt Khuda Ke Sath Kon Tha,
Akhir Ye Pyar, Muhabbat, Wo Ishq Ki Dastan Kabsey Hai Aur Ye Kiya Hai,
Kyon Khatam Hojati Hai Insan Ko Kisi Bhi Seey Ki Ahmiyat Kisi Seey Ko Paney Ke Baad,
Ye Waqt Ki Bewafai, Ye Hashar Ka Din, Aur Ye Mout Ka Manzar Kiya Hai,
Jab Khuda Ke Pak Kalam Ko Log Dil Say Pardhtey Aur Samajhtey Nahin Aye Dost,
To Phir Mirza”Haseeb”Ullah Mughal Teri Ye Ghazal, Qasida Wo Kalam Akhir Kiya Hai.

By Mirza Haseeb