Woh Jo Dosti Ki Kasme Khaate Firthe The,
Aaj Mile To Aapas Mein,Haath Tak Na Mila Sake,
Shukar Hai Uss Khuda Ka Khwaish
Yeh Manzar Dekh Kar, Tune Is Dil Se,
Dosti Karne Ki Hasrat Hi Nikaal Di
Mere Yaar Ne Mujhe Aazmaana Bhi Chaha To Kuch Iss Tarah,
Kal Mulaakat Hogi Kehkar Woh To Chal Diye,
Unhe Kya Pata, Uss Pal Ke Intezaar Mein,
Inn Aankhon Ne Raat Jaag Kar Guzaar Di
Na Puch Mujhse,Kya Mila Mujhe Meri Waffa Ka Sila
Peeche Se Mere Peet Mein Kiya Uss Shaks Ne Waar,
Jisko Maine Zindagi Ke Iss Jung Mein,
Khud Apni Dhaal Di
Log Puchte Rahe Khwaish
‘Bata Dost Aur Dushman Mein Kya Fark Hai
Mere Jawaab Se Kisi Apne Ka Chehra Na Utar Jaaye,
Yehi Soch Kar Maine Bhi Woh Fakir Ki Misaal Di
Muthi Mein Bhar Ke Dhool,Hawa Mein Uchaal Di