Woh Jab Maujud Thi To Ye Badnaseebi Thi
Ke Ye Lab, Dil Ke Baatein Keh Naa Sake
Unse Judaai Ka Dard Dil Mein Iss Tarah Baith Gayaa
Ke Ashk Bhee In Aankhon Se Beh Na Sake
Kabhii Kabhii Zindagi Kyaa Gazab Khel Khilati Hain
Ek Hi Pal Mein Kitnaa Bada Paath Dilatii Hain
Band Aankhon Mein Saraa Sansaar Dikhati Hain
Zindagi Hi Humein Jeenaa Sikhati Hain
Agar Ghum Hi Na Hote To Khushi Ka Mazaa Kise Aataa
Khushi Hi Na Hoti To Ghum Ko Ghum Kaun Kehtaa
Tanhai Mein Jee Kar Itna Badal Gayaa Yeh Chehra
Muskurakar Dekhne Kee Ise Aadat Na Rahgii
Angaar Ugalte Nain Itne Badal Chuke Hain Ab
Ke Pyaar Se Koi Dekhe, Yeh Chaahat Na Rahii.
Kabhi Kisi Ke Yaad Se Dil Pagal Sa Hotaa Hain
Maan Hi Maan Tanhai Mein Chupke Se Ye Rotaa Hain
Doctor Se Main Miltaa Hun Problem Meri Sunaata Hun
Na Jaane Kyaa Sochta Hain, Par Doctor Mujh Mein Hastaa Hain
Kabhii Kabhii Ye Jeevan Veeraana Lagta Hain
Kabaad Mein Pada Ek Item Puraana Lagta Hain
Har Ek Pal Phir Kitna Long Lagta Hain
Slow Tune Pe Gaaya Sad Song Lagta Hain
Kabhi Lagta Bhi Hain Ke Koi Is Jeevan Mein Aa Jaaye
Dil Ke Aasman Par Baadal Sa Chha Jaaye
Pyar Ke Side Effects Ko Jaan Kar Yeh Khwaishe Ruk Jaati Hain
Bas Yun Hi Sochta Rehta Hoon Aur Palke Jhuk Jaati Hain.