Woh Hastey Muskurstey Chaley Gaye
Humare Zakham Badate Chale Gaye,
Unka Milna Bhi Ek Ehsan Tha
Jiski Keemat Hum Chukatey Chaley Gaye,
Kabhi Unse Kuch Zyada Manga Bhi To Nahi Tha Humne
Phir Kyoun Wo Apni Nazro Men Hume Girate Chaley Gaye ,
Hamari Aankho Men Unse Kahi Zyada Aanso They
Phir Bhi Hum Unko Hi Chupate Chaley Gaye,
Unhe Jab Humse Pher Leni Thi Aisy Hi Nazre
To Khwab Kyoun Jhoote Sachche Dikhate Chale Gaye,
Humne Kabhi Bhi To Nahi Chaha Unka Bura
Phir Kyoun Wo Mery Hasti Ko Mitate Chale Gaye,
Kasme To Wo Bhi Khate They Humari Tarha
Phir Kyoun Humse Hi Kasmo Ko Nibhwate Chale Gaye,
Zindagi To Hui Khatam Hamari Samjho ”Kashif”
Mout Ke Itna Kareeb Jo Wo Hume Laate Chalegaye,