Woh Daur Bhi Kuch Aur Tha Yeh Daur Bhi Kuch Aur Hein
Yeh Naya Daur Hein Naya Daur Ish Naye Daur Key Naye Taur
Yanha Bhai-Bhai Ki Jaan Ko Tarse
Beta Baap Ke Dhan Ko Tarse Premi Premika Se Milan Ko Tarse
To Patni Pati Se Talak Ko Tarse Yanha Dharm Ke Naam Pe Ho Rahe Dange
Neta Bane Yeh Kaise Lafange Family Planning Ka Bhasan Yeh Sunate
Aur Khud Cricket Ki Team Banate
Nit Naye Dhang Nit Naye Rang Fashion Ke Chulbule Bade Bedhang
Yanha Kapde Pahle Fade Jate Phir Bade Saukh Se Pahne Jate
Rishwat,Guskhori Aur Chori Har Insaan Ki Yeh Kamjori
Table Per Jo Kam Ban Na Pate Table Ke Niche Sab Ho Jate
Arey Yeh Kaisa Hein Naya Daur Baap Hein Lootera Beta Bana Chor
Yeh Kaise Hein Azaadi Yanho Charo Taraf Hein Barbadi
Kya Yahi Hein Mera Bharat Woh Mahan
Jis Per Kai Saheed Hue Kurbaan
Tute Mandir Masjid Makan Insaniyat Se Gir Gaya Insan
Aao Milkar Yeh Kadam Oothayen Aaj Apne Watan Ko Bachayen
Hum Sab Ho Jaye Bhai Bhai Hindu Muslim Sikh Isaai