Woh Chhey Pahiyon Kii Labmi
Chamchaati Kaali Car
Meri Purani Si Cycle Ke
Kareeb Se Gujri To Jaise
Meri Cycle Ke Bhaag Khul Gaye Hoon.
Uski Maatr Hawa Se Hii Cycle Ne Ameeri Ko
Mehsoos Kar Liya.
Sar Ko Ooper Utthakar
Chalne Lagi Thi Gati Se
Maano Sandhya Ke Samay
Kisi Chakradhaari Dev Ke
Dharshan Ho Gaye Hon.
Chaurahey Se Chaurahey
Khamoshi Se Paar Karta Raha.
Woh Teen Hee Tow Tthey Jo Laash Bankar
So Rahe Tthey Chaurahe Mein.
Uss Lambi Car Ne Teen Jaan Kha Lee Thi
Rajdhani Ka Woh Chauraah
Jahan Se Desh Chalta Ttha
Aaj Ussi Chaurahey Mein
Jaise Yeh Desh Ruk-Kar
Ttham Gaya Ho So Gaya Ho.
Sochta Raha Anginat Pehluvon Ko
Kaash! Uss Car Mein
Paddle Hotey To Yeh Naa Hota
Tabhi To Aaj Insaan Bhii
Petrol Ka Ghulam Bankar Reh Gaya Hai.
Main Pranaam Karta Hoon Uss Cycle Ke Paddle Ko
Jisne Pehchaana Hain Bas Mehnat Ko!,
Pasiney Ko!,Jaurat Ko!,Zindagii Ko!