Woh Bhi Ankhon Ke Isharon Se Baat Karti Thi,
Mein Bhi Lafzon Ke Samender Se Duur Rehta Tha,
Woh Bhi Sakhyon Se Chupati Thi Dilon Ki Batein,
Mein Bhi Har Baat Kahan Doston Se Kehta Tha,
Woh Bhi Chup Chap Sanwerti Thi Faqat Mere Liye,
Mein Bhi Is Shoukh Ke Jalwon Pe Ghazal Kehta Tha,
Woh Bhi Duuri Ke Khayalat Se Roo Parhti Thi,
Mein Bhi Furqat Ke Tassawer Se Zara Dara Rehta Tha,
Woh Bhi Chund Lamhon Ki Duuri Se Tarap Jati Thi,
Usko Dekhe Bina Mein Bhi Udas Rehta Tha,
Jane Kiss Tarhan Se Toota Yeh Pyar Ka Bandhan,
Jane Woh Kon Tha Jo Pyar Ko Sacch Kehta Tha