Wo Samanda Jiski Darya-Dili Ke
Ham Kaayal Huva Karte The,
Wo Samandar Bhi Abke Apni
Tang-Dili Dikha Gaya,
Ham Jis.Se Sabak Lete The
Ye Jindgi…Khulke Jiye Jaane Ka,
Afsos Hamaara Hausla ‘Wo Samandar’
Kitnon Ki Jindgi Khaa Gaya,
Yoon To Raat Phir Chaandni Thi Or
Chaand Bekhabar Sa Tha Aasmaan Pe,
Wo Sochta …Ke ‘Jwar-Bhaate’ Ka Asar Hai Shaayad
Per Abke Ye ‘Jwaar’ To Chaand Per Bhi Chhaa Gaya,
Cheekhti-Chillaati Aawaajein Bhi Saari
Samandar Ke Shor Me Kaheen Kho Gai,
Wo ‘Sursa’ Raat Bhar Khaati Rahi Sabko
Or Subha…Kaheen Gehre Me Jaakar So Gai,
Apni Aadat Na Thi Ro Jaane Ki
Yoon Baat Baat Per Bhaavuk Ho Jaane Ki,
Per Abke ‘Ye Aankhein’ Eisi Bhigi Ke
Is Chaand Ki Subhe Tak Shabnami Ho Gai.