Wo Rashq-E-Masiha Aaye Tau Koyi Baat Banegi
Warna Sehra Mein Kahan Wajah-E-Barsaat Banegi
Taa Gor Itraate Phirte Rahe Rutbe Pe Apne Hum
Kya Ilm Thaa Musht-E-Khaak Si Aukaat Banegi
Dab Gaye Koh-E-Ghum Se Jab Se Dilbar Mera Gaya
-Ë—Paras-‘ Ab Hargiz Na Koyi Taqriib-E-Nishaat Banegi
Likhein Jo Ashqon Se Gar Hum Koyi Dam-E-Tehrir
Tera Wasf-O-Hunar Likh Jayein Tau Waardaat Banegi
Na Kee Uff! Aakhiri Dum Tak Humko Hain Ishq Ke Adaab
Tishna Labon Pe Tera Naam, Wajah-E-Haadsaat Banegi
Hujum-E-Ghum Chale Aayein Tau Aaye Kabhi Naala
Kazaa Kabhi Tuu Bhi Chali Aa Tau Hasiin Raat Banegi
Siyaah Raaton Ne Jhulas Diin Badmast Aankhein Meri
Hothon Ko Rakh De Palakon Pe Kayenat Banegi
Aa Jaao Ki Aable Dil Ke Phutne Ko Hain Betaab
Sulaa Jaao Gul-E-Bistar Pe Jo, Tilismaat Banegi