Wo Raaton Mein Aayi Thee To Khwaab Hi Hogi
Shayad Mere Kissi Sawaal Ka Jawaab Hi Hogi
Mai Ye Soch Ker Talash Kerta Hun Ke Mil Jaye Kahee.N
Chaahe Mere Khwabon Ka Shahar Ho Ya Khyalon Ki Jamee
Sirf Ek Baat Usse Puchunga, Ek Nazar Jee Bhar Ker Dekhunga
Aye Haseen Naazneen, Kaheen Tu Meri Zindgi Ki Surat To Nahi
Tu Kaheen Mere Ander Mar Rahe Shaks Ki Jarurat To Nahi
Bas Yahi Soch Ker Khojta Phirta Hun Hawaaon Mein Usse
Kabhi Raat Ke Andheron Mein To Kabhi Sawan Ki Ghataon Mein Use
Subha Ke Khile Khile Gulaabon Mein Usski Mahak Aksar Paya Karta Hun
Kuch Puraani Si Kitaabon Mein Usska Jikr Akser Paaya Karta Hun
Naani Ki Kahaaniyon Mein Kabhi Ek Pari Ka Jikr Hua Karta Thaa
Wo Chaand Se Jamee Per Aayi Pari Wo Chaandni Mein Nahaai Pari
Ek Pari Mujhse Mulaqaat Ko Aayi Thee
Sitaaron Se Bhari Hui Raat Ko Aayi Thee
Wo Raaton Ko Aayi Thee To Khwaab Hi Hogi
Aise Khwaab Baar Baar Kyu Nahi Aate Karan
Varna Hum To Zindgi Bhar Ke Liye So Jaate Karan