Wo Mujhe Dil Se Bhula De Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Kya Dawaa Or Zahar Sab Rog Ek Jaise Hain
Kaun Acha Or Bura Sab Log Ek Jaise Hain
Aag Duniya Mein Lagaa Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Mujhko Guzri Hui Baaton Ka Mashgalaa Ab Tak
Mujhme Raaton Mein Sulagne Ka Silsila Ab Tak
Likha Kismat Ka Mita Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Usski Aankhon Mein Likhe Lafz Main Padh Sakta Hun
Usski Tasvir Na Dekhun Main Ye Ker Sakta Hun
Ussko Aaine Se Hataa Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Juba.N Cheen Lun Honthon Se Ye Ho Sakta Hai
Roshini Cheen Lun Aankhon Se Ye Ho Sakta Hai
Jalte Suraj Ko Bujha Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Wo Nahi Aayega Usski Alag Majburi Hai
Main Nahi Jaaunga Meri Alag Majburi Hai
Jeete Jee Khudko Jhuka Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Dil Ko Araam Nahi Hain Main Kidhar Bhi Jaaun
Usske Honthon Se Jo Mil Jaye Zahar Pee Jaaun
Pyas Honthon Ki Bujha Lun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Kissi Ke Dil Ko Dukhane Se Dara Karta Hun
Vafaa Ka Sauda Vafaa Se He Kara Karta Hun
Main Bewafaai Ka Sila Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahana Mumkin Hai
Mere Seene Mein Hai Bas Usske Taano Ki Chubhan
Ho Ke Bebas Aakhir Me Ye Kehta Hai Karan-‘
Dunmain Use Khud Mein Mila Lun Ye Kahana Mumkin Hai
Main Use Dil Se Bhula Dun Ye Kahaan Mumkin