Wo Masti Aur Hansi Ka Zamana Yaad Aata Hai,
Wo Bachpan Ka Khud Hasna Hasana Yaad Aata Hai,
Zamane Ke Har Gam Se Anjaan Tha Wo Pal,
Ek Pal Mein Ro Ke Phir Muskana Yaad Aata Hai,
Har Phikar Se Milon Dur Thi Wo Zindagi Apni,
Khwahish-E-Dil Puri Karne Ka Fasana Yaad Aata Hai,
Wo Khilono Ki Basti Aur Khelon Ke Jahan,
Khud Ruthna Aur Manana Yaad Aata Hai,
Ye Kahan Aa Gaye Hum Un Dinon Ko Bhool Kar,
Ret Gharondhe Banakar Girana Yaad Aata Hai,
Aaj Hamari Zindagi Gamon Se Bhari Hai “Raaj“,
Wo Haseen Pal Wo Khushiyan Lutana Yaad Aata Hai.
By Rajnish Raaj