Wo Kya Raat Thi Jab Neend Ke Aagosh Mein Aap Ka Khwaab Aa Gaya,
Zindagi Ke Armaan Ho Jate Pure Par Samne Wo Aap Ka Nakaab Aa Gaya,
Karna Chahte The Aap Ko Karib Apne Par Kya Karein, Achanak,
Gardish Mein Aaye Zindagi Ke Tare Or Kismat Mein Waqt-E-Kharaab Aa Gaya!
Kea The Gunaah Zindagi Mein Bahoot Par Isi Ko Khuda Ki Kudrat Kehte Hain,
Ke Mujh Jaise Gunehgaar Ke Jholi Mein Bhi Bin Mange Hi Sawaab Aa Gaya!
Ye Thi Unki Shikayat Ke Mulakat Kyu Na Ki Maine Unse,
Par Jab Bhi Kadaam Unki Taraf Badhe To Hathoon Mein Wo Jaam-E-Sharaab Aa Gaya!
Unko Bahoot Kosa Tha Hamne Ke Muhabbat Ka Izhar Karooge Kab Aakhir,
Par Aaya Waqt Ab Sahi Our Unki Taraf Se Muhabbat Ka Jawaab Aa Gaya!
Meri Kashti Ko Sambhala Maine Aab Tak Bas Is Ummeed Pe Ke Unse Mulakat Ho Jaye,
Kinara Dekh Kar Khush Hua Itna Main Magar Kareeb Pahunch Raha Tha Ke Gumoon Ka Sailaab Aa Gaya