Wo Kehtay Hain Jurmaana Bharo,
Muhabbat Mein Har Nibhahee Huwee Wafa Se Nijaat Paanay K Leeyaen.
Saza Bharo Dhuk Ke Zareeay,
Muhabbat Mein Muhabbat Ka Saath Paanay Ke Leeyaen.
Kaisee Hai Ye Muhabbat
K Insaan Wafa Karay Tho Bhi Gunah Hai,
Bewafai Karay, Tho Bhi Guhna Ha
Kaisee Hai Muhabbat Kee Ranjish,
K Dil Jo Karna Chahay, Zamanay Mein Wo Sub Mana Hai
Wo Kehtay Hain Keemat Ada Karo,
Dil Se Dil Ko Jodr Nay Kee Khuwaish Mein.
Khuda Se Duwa Karo,
Sirf Muhabbat Ko Bhulanay Kee Guzarish Mein
Kaisay Hain Ye Apnay Meray,
Jo Dard Samhaj Thay Bhi Na Samjayh
Todrna Chahoon Tho Bhi Na Todr Paaoon,
Buss Aisay Hee Hain Ye Muhabbat K Rishtey
Insaan Kya Karay Baybussee Jub Kismat Mein Rahaesh Paalay
Humme Shikayat Nahee Hai,
Uss Kismet Se Jissko Rub Ne Hum Pe Anayat Kiya,
Hum Kaise Rub Se Sifarish Na Layn
Iss Ek Duwa Ko Kabool Karay,
Tho Hum Aur Kuch Kabhi Na Maangay Gay,
Buss Muhabbat Ko Meree Johlie Mein Dalday,
Aur Uss Sanam Kee Hifazat Rahay,
Uss Pe Anay Se Pehlay Hee,
Ya Rub, Har Buree Afat Taalday
Wo Ek Baar Jo Pyaar Ke Nazar Bhar K Dehklay Humko,
Hum Sijdon Mein Giray Rahaengay,
Phir Zindagee Muqammal Hogee,
Warna Hum Rahon Mein,
Uss K Dar Pe Bhataktay Phirtay Rahaengay.