Wo Jo Mera Waqf-E-Haal Tha
Wo Jo Us Ke Subh-E-Urooj Thi
Wo Jo Mera Waqt-E-Zawaal Tha
Mera Dard Kaise Wo Janta
Mere Baat Kaise Wo Manta
Wo Tu Khud Fanaa Ke Safar Pe Tha
Use Rokna Muhaal Tha
Kahan Jaoge Mujhe Chhodke
Main Ye Puchh Puchh Ke Thak Gayi
Wo Jawab Mujhko Na De Saka
Wo To Khud Ek Sawal Tha
Wo Mila To Sadiyon Baad Bhi
Mere Lab Pe Koi Gila Na Tha
Use Mere Chupine Rula Diya
Jise Guftugu Mein Kamaal Tha
Dam-E-Wapsi Use Kya Hua
Na Wo Roshni Na Wo Taazgi
Wo Sitara Kaise Bikhar Gaya
Wo To Aap Apni Misaal Tha
Mere Sath Lagke Wo Ro Diya
Mujhe Faqt Itna Wo Keh Saka
Jise Janta Tha Main Zindagi
Wo To Sirf Wahem-O-Khayal Tha