Wo Jo Khamoosh Sar-E-Bazm-E-Jahaa.N Hota He
Us Ke Seene Mai.N Koi Raaz Nihaa.N Hota He
Bazm-E-Imkaa.N He Nihaa.N Gard-E-Tajarbaat Mai.N Yoo.N
Jis Tarah Dasht Pas-E-Gard Nihaa.N Hoota He
Jhoot Lagti He Sara Ser Ye Haqeeqat Mujh Ko
Mujh Ko Imkaa.N Pe Haqeeqat Ka Gumaa.N Hota He
Sath-E-Aaena Se Chat Jay Ager Gard-E-Yaqee.N
Tab He Aaene Pe Imkaan Ayaa.N Hota He
Na Ho Paband-E-Riwayat Ye Zabaa.N Tab Mumkin
Dasht-E-Imkaan Ki Wusaat Ka Bayaa.N Hota He
Jo Ho Mehdood Nazar Hadd-E-Yaqee.N Ke Ander
Dasht-E-Imkaa.N Se Use Rabt Kahaa.N Hota He
Jis Tarah Gard-E-Tayyaqqun Mai.N Haqaiq Hai.N Yahaa.N
Kiya Koi Gard Mai.N Aise Bhi Nihaa.N Hota He?
Saaf Khulta He Nahi.N Dil P Eke Ab Kiya Hooga
Aik Khatka Sa Mager Dil Ko Yahaa.N Hota He
Jab Ye Ahssas -—e-Zayaa.N Had Se Guzar Jaata He
Aik Ahsaas Naya Dil Mai.N Jawaa.N Hota He
Kiyoo.N Bharose Pe Tajerbe Ke Dawa Kerte Ho
Mujh Se Pooch Tu Sahi Dard Kahaa.N Hota He