Wo Jiski Nazdikiyon Ko Tarasta Tha Mai
Wo Jiske Romalon Ko Usi Se Churakar Rakhta Tha Mai
Kal Jo Aanchal Maagana Ye Chehra Sukhane Ke Khatir
Badi Saadgi Se Usne Apna Dupatta Hi Aage Barha Diya
Wo Jiski Zulfon Ka Deewaana Hua Jaata Hoon-Â…
Aksar Kisi Na Kisi Bahaane Se-Â…unhe Chhoo Jaata Hoon
Kal Jo Maangi Ek Jhalak Un Khuli Zulfon Ki
To Masumiyat Se Baalon Me Laga Wo Bend Mere Haathon Me Thama Diya-Â…
Mai Badhne Laga Phir Apni Hadon Se Or
Uske-Â…haathon Ko Bhi Choomna Chaha
Wo Haath Mere Haathon Me The Per
Un Aankhon Ke Maasoom Se Sawaalon Ne Dara Diya-Â…
Mai Chal Pada Phir Na Mud Saka Or Wo Pukaarti Rahi Mujhko
Kal Raat Meri Mohobbat Ne Mujhko Wo Paap Karne Se Bacha Liya