Wo Ek Chaahat Uski Jab Apni Kamjori Si Nazar Aane Lagi
Or Is Chaahat Me Jab Tangdili Ki Boo Aane Lagi
Wo Uski Nadaan Si Berukhi Kese Seh Paate
Un Nigaahon Ke Sawaalon Ko Keise Samjhate
Keise Kehte, Ye Nazdikiyaan Ab Tadpaane Lagi Hai
Anjaane Hi Sahi, Wo Mushkilein Barhane Lagi Hai
Bas Muskuraake Chal Diye Hum Uoonhi
Laakh Chaaha Par, Alwida Bhi Na Keh Paaye
Khul Ke Mohobbat Bhi Na Kar Sake Ey Dil
Akas Iske Anjaam Se Darte Rahe
Jab Bhi Koi Ummeed Lagate, Aksar Toot Jaati
Aahista-Aahista Hum, Har Ummeed Se Kinara Kar Gaye
Eisa Nahi Ke Kabhi Roye Hi Nahi
Bas In Ujaalon Ko Hi Khabar Na Hone Di
Bada Naam Tha Apna Dildaaron Ki Mehfil Me
Bas Isi Naamka Parda Kar Gaye
Laakh Samjhaate Or Phir Fisal Jaate
Ye Kadam Uski Jaanib Uth Hi Jaate
Hamne Itni Door Banaya Aashiyaan Apna
Ke Milne Ke Armaan Tak Nikal Gaye