Wo Eik Abra-E-Syaah, Shaam-E-Surkh, Yeh Gulshan
B-Gair Aap Key, Mashriq Kee Yeh Mahakatee Hawaa
Sirf Beychain Kar Rahee Hai Mujhey, Jaan-E-Jaan
Mein Naheen Jaantaa, Ki, Kyaa Karoon, Kahaan Jaauun
Khwaab-E-Jannat Mein, Gam Firaaq Kaa!! Kahoon Mein Kyaa
Wo Koyee Khushnaseeb Thaa, Ki, Jisey Aap Miley
Ye Badnaseebee Hai Meyree, Ki, Ab Judaa Hoon Mein
Ashk-O-Gam Key Siwaa Bachaa Hai Jo, Wo Hain Aaheyn;
Yaa Ki, Yaadeyn Hain Un Lamhoun Keen, Jab Hamaarey Liye,
Eik Lamhey Kee Judaayee Bhi Dahar Hotee Thee
Mujh Ko Maaloom Naheen: Tum Kahaan Ho, Kaisey Ho
Ab To, Beyhtar Hai, Tumhain Yaad Na Aaye Meyree