Wo Do Rahe Par Khada Hai Waqt Ka Ik Ped
Saare Patte Sookh Chuke Hain Jiske
Fir Bhi Shaakhaon Se Latakte Rehte Hain
Jism Kitne Hi Musaafiron Ke Guzre
Ruhen Jinki Abhi Bhi Atki Hain Isme
Shakaon Mein Yaadon Ke Kuch Zakhm Ab Bhi Hare Hain
Saare Aansoo Beh Gaye Koi Rula De Zara
To Fir Paani Mil Jaye Jadon Ko
Takta Rehta Hai Dono Rahon Ko
Sookhi Aankhon Se Apni
Shayad Bhool Gaya Hai Manzil Ka Pata
Kabhi Tum Guzro Is Raah Se
To Manzil Mil Jaye Isse