Wo Chasm-E-Mohabbat Ka, Paimana Kya Hua
Hum Qatl Bhi Huye To, Ey Zamana, Kya Hua !!
Har Shab Pe Unka Naam, Har Shabnam Unki !
Na Ho Junun Jisme, Wo Deewana Kya Hua !!
Ba-Wafa Ya Be-Wafa , Per Hai Saanso Mein Basa !
Judaa Hoke Bhi Humse, Wo Begaana Kya Hua !!
Is Qadar Ho Asar, Ishk Ki Paakizagi Ka Jaanaa.N!
Na Rok Le Do Pal Maut Ko, Wo Bahaana Kya Hua!!
Guzar Gaya Daur Wo , Kasmo.N Pe Aitbaar Ka !
Kar De Na Lahu Ko Sard, Wo Aazmaana Kya Hua!!