Wo Apni Marzi Se Aate Hain Or
Apnii Marzi Se Chale Jaate Hain,
Ham Bhala Rokte Bhi Kaise Unko
Ham To Adhikaar Bhi Jata Na Pate Hain,

Per Khabar Na Ho Shaayad Unko
Wo To Bas Khaali Haath Hi Aaye The,
Koi Poochhe Unse Ke Phir Kyon
Haamara Pyar Liye Jaate Hain,
Maangna Ispe Fitrat Na Thi Kabhi Apni
Rokpana Kabhi Ham Seekh Hi Na Paaye,
Door Jaata Raha Har Apna Hamse Or Ham
Dwar Tak Chhodne, Har Ek Ko Aate Hi Rahe,
Raah Mudti Rahi Or Kaarwaan Badalte Rahe
Hame Khush The Ke Wo Manzilein Paate Rahe,
Mizaz-E-Rukhsati Magar Unki..
Ghav Dil Ke Mere Barhate Rahe.