Waqt Ke Saath Sab Kuch Badal Jaya Karta Hai,
Agar Na Badalta Hai To Sacha ‘Pyar’ Na Badalta Hai,
Gumsum Hai Ye Vadiya, Gumsum Hai Ye Aasma,
Par Unki Hasi Se Ye Baadal “Pyar” Banke Barasta Hai,

Beshak Badal Jaaye Andaz E Beyaan Us Sanam Ke,
Magar Yaaro Mere Dil Ka Ye ‘Pyar’ Na Badalta Hai,
Sukun Kaha Hai Hame Agar Ho Vo Durr Humsey,
Band Karu Aankhain To “Pyar” Meri Dhimi Si Hasi Me Jhalakta Hai,
Ho Agar Kahi Udassi Is Dil Ke Aas Paas,
Unki Ik Jhalak Se Hi Ye Mausam “Pyar” Mein Badalta Hai
Sanam Ki Aankho Me Hote Hai Jitne Sapney,
Bas “Pyar” Mein Un Sapno Ko Pura Karne Ka Maan Karta Hai,
Kya Sunaye Tumhe Raaz E Ulfat Mere Yaaro,
Har Raaz Bhi Badal Jata Hai Par Ye “Pyar” Hai Ki Na Badalta Hai,
Hoti Hai Ye Ulfat Kuch Aisi Mere Humnashi,
Darr Koyi Nahi Bas Ik “Pyar” Me Dil Judayi Se Hi Darta Hai,
Do Kadam Ke Saath Se Hi Dil Jab Jab Dharkta Hai,
Badal Phir Jata Hai “Pyar Mein Sabkuch Par Ye Dil Na Badalta Hai
Has De Zara Sa Muskra De Zara Sa Mera Sanam,
To, Is “Pyar” Mein Us Par Mar Mitne Ka Maan Karta Hai,
Aisa Hota Hai “Pyar” Mere Dosto,
Ki Ismey Sab Kuch Badal Jata Hai Par Sacha “Pyar” Na Badalta Hai !