Wafa Kaa Yaaron Ne Mujhko Kuchh Aisa Sila Diya,
Kii Patthar Aankhoon Ko Bhi Maine Lahoo Se Rula Diya.
Eh Yaaron Dard Kaa Karobar Hii To Hai Mera Pesha,
Meri Maut Saath Hii Rehti Hain Mere Humesha.
Humne To Baar Baar Zeher Kaa Aisa Ghoont Piya,
Kii Humne To Khuda Ko Bhii Gamon Se Loot Liya.
Mere Dil Ko Khilona Samajh Usne Tod Diya Hain,
Deewana Karke Mujhe Galiyon Mein Chhod Diya Hain.
Kuchh Log Humdardi Kaa Rishta Nibhane Aate Hain,
Asal Mein Wo Bas Duniya Ko Dikhlane Aate Hain.
Eh Khuda Jeene Ko To Har Shakhs Yahan Aata Hai,
Phir Dard Parakhne Ko Kyun Tu Mujhko Aajmata Hai.
Kyun Humko Aankhoon Mein Sailab Chupana Padta Hain,
Roti Hui Aankhon Ke Sung Bhi Muskurana Padta Hain.
Saath Mere Ab Naa To Meri Parchai Hi Rehti Hain,
Mehfil Mein Jata Hoon To Wahan Bhi Tanhai Hi Milti Hain.
Naye Saal Mein Phir Mere Liye Nayi Jawani Aayi Hain,
Dardon Se Sarabor Hokar Phir Se Meri Zindgani Aayi Hain.
Apni Adalat Kal Mein Khuda Ne Mujhko Tha Bulaya,
Kaha “Ghayal” Naya Saal Tere Liye Naye Dard Hai Laya.