Wada-E-Vasl Tutaaur Wada Rah Gayaa
Na Tum Aaye Aur Main Bhee Zinda Rah Gayaa
Main Uska Aaeena Tha Magar Hairat
Main Jab Tuta Wo Kaise Sada Rah Gayaa
Chala To Aaya Hoon Magar Dekhta Hoon
Mere Bina Woh Kitna Tanha Rah Gayaa
Hote-Hote Kuch Bhi Pura Nahin Rahta
Hote Hote Gham Bhi Aadha Rah Gayaa
Woh Jisne Kareeb Se Dekha Hai Chehra-E-Zist
Kitna Sahma-Sahma Uska Chehra Rah Gayaa
Ye Mera Aur Ye Tumhara Naam Sanam
Ye Bicth Phir Kaise Fasla Reh Gayaa
Jo Bah Gaya,Gham-E-Ishq Tha,Ankhon Se
Tera Naam To Palkon Mein Nihan Rah Gayaa
Ab Zindagi-O-Maksad-E-Zindagi ‘Amaan’
Kisi Ko Yaad Kar Ke Bhulana Rah Gayaa