Voh Jo Nazren Jhukaaye Huye Hai
Meri Duniyaa Pe Chhaaye Huye Hai
Yoo To Parda Hataaye Huye Hai
Phir Bhi Khud Ko Chhupaaye Huye Hai
Kal Talak Mera Dil, Meri Jaan The
Aaj Aankhen Churaaye Huye Hai
Mujh Ko Dekhaa, Magar Be-Rukhii Se
Jaane Kis Ke Sikhaaye Huye Hai
Mere Chhoote Hi Gabhraa Ke Bole
Ham To Gangaa Nahaaye Huye Hai
Aazmaate Hain Jo Har Kisii Ko
Voh Mire Aazmaaye Huye Hai
Har Ko’i Mehrbaan Hai Hameen Par
Ham Sabhii Ke Sataaye Huye Hai
Jis Ko Dekho Voh Pahunchaa Hu’aa Hai
Ik Hameen Hai K Aaye Huye Hai
Kaun Aataa Hai Apnii Razaa Se
Ham Kisii Ke Bulaaye Huye Hai