Utke Jo Chal Diye Hai Mehfil Se Begano Ki Tarha
Humne Bhi Qud Ko Hi Jala Liya Hai Parwano Ki Tarha
Ye Aur Bat Hai Tere Muqaddar Mein‚  Jaam Hai Jaana
Mere Aashiyane Bhi Aksar Saje Hai Maikhano Ki Tarha
Tum Ch’hod Ke Kya Gae Sara Aalam Root’h Gaya
Khudaya Tu Bhi Begana Ho Chala Hai Insano Ki Tarha
Wo Jiske Kadmo Ki Aahat Se Mera Ghar Aabad Tha Kabhi
Wahi Shaqs Aaya Hai Aaj Kyu Mehmano Ki Tarha
Kyu Aae Ho Tum Sab Mari Maiyat Pe Yu Khamoshi Se
Kuch Arman Hue Hai Poore Ki Aao Zara Toofano Ki Tarha
Kyu Kar Aaj Tujhe Ghum Hai In Ghum O Ka Ae Ayad
Tareeq-E-Hayat Me Teri Khushiya Aayi Thi Bahano Ki Tarha‚  Thumbs