Uth Ke Jo Chal Diye Hain Mahfil Se Begaano Ki Tarah
Humne Bhi Khud Ko Hi Jalaya Hai Parwaano Ki Tarah
Ye Aur Baat Hai Tere Muqaddar Me Jaam Hain Jaana
Mere Aashiyane Bhi Aksar Saje Hain Maykhano Ki Tarah
Tum Chord Ke Kya Gaye Saara Aalam Hi Rooth Gaya
Khudayatu Bhi Begaana Ho Chala Hai Insaano Ki Tarah
Wo Jiske Kadmon Ki Aahat Se Mera Ghar Aabaad Tha Kabhi
Wahi Shaksh Aaya Hai Aaj Kyon Yahan Mehmaano Ki Tarah
Kyon Aae Ho Tum Sab Meri Maiyat Me Yoon Khamoshi Se
Kuch Armaan Hue Hain Poore Ki Aao Zara Toofaano Ki Tarah
Kyon Kar Aaj Tujhe Gham Hai In Ghamon Ka Aye Shaad
Tariqe-Hayaat Me Teri Khushiyan Aain Theen Bahaano Ki Tarah