Uss Ko Bholanay Ke Koshish To Ker Phir Bhi
To Usay Bholana Paega Magar Phir Bhi
Jante Ho Is Safar Main Wapsee Nahe Hote
Bandh Rahay Ho Tum Rakhtay Safar Phir Bhi
Hijr Ke Raat Kitnee Bhi Lambee Ho Jae
Ho Ker Rahay Gee Her Hal Main Saher Phir Bhi
Detay Hain Mohib Ke Aakhon Ko Hansee Khowab
Kehtay Hain Aasihq Onhain Bedadgar Phir Bhi
Ye Or Baat Hay Tum Yaad Aao Gay Bohat
Zindagi Ka To Kat Jaega Safar Phir Bhi
Wo Muhay Maar Ker Samjha Ke Kissa Khatam Hua
Mer Ker Hogaya Mera Piyaar Amar Phir Bhi
Kehtay Ho Main Usay Bhola Chuka Hon Nabil
Chair Detay Ho Har Baat Main Uska Zikr Phir Bhi