Uss Fattey Moze Ko Maine
Chhupa To Liya Tha Duniya Se,
Jo Mere Haalaat Kee Aprakaashit Si
Kahaani Ko Keh Raha Tha
Aur Parichay Karwa Raha Tha Wo Moza
Mujhse Hee Mere Angootthey Ka.
Magar Mera Joota Mujhe Himmat Deta
Tayaar Karta Tha Mujhe Daftarron Mein,
Bas Ekk Naukri Paane Kii Khaatir.
Duniya Bhar Kii Dhool Chaanta Wo Joota
Saath Deta Raha Mera
Mere Berozgaar Se Raaston Per.
Woh Pighaltee Hui Sadak Kii Chipkan Aur
Suraj Kii Tapish Ko Taa-Umr Jhelta Raha
Likhta Raha Har Safar Kaa Hisaab.
Magar Aaj Mere Paas Koi Raasta Nahin,
Ki Jaa Sakun Chaar Kadam Main Akela Chalkar,
Woh Joota Aaj Dum Todta Hua
Muhn Kholkar So Gaya Hain.