Uski Mashumiyat Ka Jikra Kya Kahiye
Wo Milta Hai Dusmano Se Doston Ki Tarah.
Kya Ise Bhi Bachpana Keh Dein
Tod Deta Hai Dilon Ko Khilounon Ki Tarah.
Yun To Zidd Karne Ko Uski Aukat Hi Kya Thi
Per Chaha Tha Maine Usko Apni Manzilon Ki Tarah.
Wo Bhi Chhuda Ke Daman Ho Liya Duniya Ke Sath
Aur Mai Rota Raha Akela Yateem Se Bacche Ki Tarah.
Chura Ke Nazer Mujhse Wo Sar Pe Panw Rakhke Chal Diya
Mai Peechhe Jo Aa Raha Tha Uske Naks-E-Kadamon Ki Tarah.
Ya Khuda Uski Chand Mushibaton Aur Gumon Ko Sambhale Rakhna
Mai Yaad Aata Hun Use Matam Mein Daman Ki Tarah.
Ab Aise Logon Se Bhi Jikra-E-Wafa Kya Kahiye
Badal Jate Hain Chand Roj Main Jo Mousamon Ki Tarah.
Aakhir Mai Kis Munh Se Use Bewafa Keh Dun
Khidmat Ki Hain Meri Bin Bulaye Purane Mehmano Ki Tarah.