Uskee Yaadon Main Wo Duba Raha Raat Bhar
Subah Tak Wo Na So Saka Jaagata Raha Raat Bhar
Khuli Khirkee Ke Pass Wo Jaa Baitha Raat Bhar
Aasmaan Main Taaron Ko Wo Ginta Raha Raat Bhar
Waqt-E-Firaq Main Wo Pachtaaya Raat Bhar
Apni Kismet Pe Wo Rota Raha Raat Bhar
Kyon Wo Na Tyaar Huee Us Say Shaadi Karno Ko
Is Swaal Ka Jawaab Wo Puchta Raha Raat Bhar
Apnay Ko Shaeeri Ka Wo Bada Ustaad Samajhta Thaa
Usnay Kyon Dhak-Kara Ye Sochta Raha Raat Bhar
Pauphatti To Usnay Khirki Se Jhaank Kar Dekha
Thandi Si Hawaa Chali Jo Chali Na Thee Raat Bhar
Thandi Hawa Thee Lakin Dil Main Thee Kashmakashi
Sakun Kuch Na Mila Usay Sochtay Hueey Raat Bhar
Insan Zindgi Bhar Hi Sochon Main Duba Rehta Hain
Mohabbat-E-Firaaq Main Jaisay Wo Dhuba Raha Raat Bhar
Maut Ke Aanay Par Hi Ashikon Ko Mohabbat Bhulti Hain
Mohabbat Main Hi Wo Rehtain Hain Din Aur Raat Bhar